Maa ke liye Shayari, Maa Shayari in Hindi
Maa ke liye Shayari |
Maa Shayari - Maine Maa Dekhi Hai
Chalti Firti Aankhon Se Azaan Dehi Hai,
Maine Jannat Toh Nahi Dekhi Hai Maa Dekhi Hai.
चलती फिरती आँखों से अज़ाँ देखी है,
मैंने जन्नत तो नहीं देखी है माँ देखी है।
Tere Kadmon Mein Yeh Saara Jahan Hoga Ek Din,
Maa Ke Hothhon Pe Tabassum Ko Sajaane Wale.
तेरे क़दमों में ये सारा जहां होगा एक दिन,
माँ के होठों पे तबस्सुम को सजाने वाले।
Maa ke liye Shayari |
Kisi Bhi Mushkil Ka Ab Kisi Ko Hal Nahi Milta,
Shayad Ab Ghar Se Koi Maa Ke Pair Chhukar Nahi Nikalta.
किसी भी मुश्किल का अब किसी को हल नहीं मिलता,
शायद अब घर से कोई माँ के पैर छूकर नहीं निकलता।
Umar Bhar Teri Mohabbat Meri Khidmatgar Rahi Maa,
Main Teri Khidmat Ke Qabil Jab Hua Tu Chali Gayi Maa.
उमर भर तेरी मोहब्बत मेरी खिदमतगार रही माँ,
मैं तेरी खिदमत के काबिल जब हुआ तू चली गयी माँ।
Maa ke liye Shayari
Maa ke liye Shayari |
Sab Kuchh Mil Jata Hai Duniya Mein Magar,
Yaad Rakhna Ki Bas Maa-Baap Nahi Milte,
Murjha Kar Jo Gir Jaaye Ek Baar Dali Se,
Yeh Aise Phool Hain Jo Phir Nahi Khilte.
सबकुछ मिल जाता है दुनिया में मगर,
याद रखना की बस माँ-बाप नहीं मिलते,
मुरझा कर जो गिर गए एक बार डाली से,
ये ऐसे फूल हैं जो फिर नहीं खिलते।
Rooh Ke Rishto Ki Yeh Gehraiyan To Dekhiye,
Chot Lagti Hai Humein Aur Chillati Hai Maa,
Hum Khushiyon Mein Maa Ko Bhale Bhi Bhool Jayein,
Jab Musibat Aa Jaye Toh Yaad Aati Hai Maa.
Maa ke liye Shayari |
रूह के रिश्तों की ये गहराइयाँ तो देखिये,
चोट लगती है हमें और चिल्लाती है माँ,
हम खुशियों में माँ को भले ही भूल जायें,
जब मुसीबत आ जाए तो याद आती है माँ।
No comments:
Post a Comment